Agar aap apne Aadhar card online download nahi kar pa rahe hai, kyoki aapko apne Aadhaar card ka UID ya EID number nahi pata, to aap sahi page par hai. Is article me hum aapko batauge ki Aadhaar card ka UID(Aadhaar Number)/EID(Enrollment Number) internet se kaise nikalte hai.
Step 1:
Sabse pehle aap Aadhaar card ki website https://resident.uidai.net.in/find-uid-eid par jaye.
Step 2:
Form ke upar select kare ki aapko EID aur UID me se kya cahiye. Jo bhi ID cahiye uske aage di gayi dot (.) par click karde.
Step 3:
Neeche diye form me apna Naam aur apna Aadhaar card ke sath juda hua number bhare. Saath hi Security code bhi upar di gayi photo me se dekh kar bharde.
Step 4:
“Get OTP” par click kare
Step 5:
“Enter OTP” ke aage field me mobile par prapt code bhare.
Sabhi steps karne ke 2-3 minute ke under aapke mobile paar aapka EID ya UID aa jayga. Ab aap ise istimaal karke apna Aadhaar card nikal sakte hai.
Thank you.
Aage Padhe:
Ayush Sharma says
Sir Mera aadar card ban gya but mai use Apne mobile Internet par dekhna chahta hu kaise dekhe please baat dijiye
Vikas Plus says
Aadhaar card ki website abhi Mobile friendly nahi hai. Lekin aadaar card nikalne ka tarika mobile aur desktop dono ka same hai. 🙂 Is article ko padhe : Aadhaar Card Kaise Download Kare
Nawab says
Sir ham apne photo se apni uid ka no. Nikal sakte he
Vikas Plus says
Nahi aapke photo se nhi nikal paygi.
tirath says
sir agr koi sim band ho gya ho to us sim k bare me kaise jaane k wo sim kiske naam me hai truecaller nhi bata rha to pls bataiye hum kaise jane
Nikhil Arora says
Toh phir aap us sim ke baare me nhi jaan sakte, ki ye kis ke naam par allot hai.
Laxmi narayan verma says
sir sim ka kiske naam par hai use janane ke liye hame kya karna padega
pls help me sir
Vikas Plus says
Aap is jaankari ko prapt karne ke liye Truecaller ka istimall kar sakte hai : ye padhiye
Ayush Sharma says
sir apne jaise form me bhara h use trah maine bara but usme jab get opt par clik karte to usme sab kuch invalid likh me aata h to kya kare mobile no,email,and any jabki San kuch sahi bhara h kya kare please help kar do
gopal joshi says
Sir mera aadhar card me register number gum ho gya he muje apana aadhar card nikalna h kese nikale
Vikas Plus says
Agar aapke pass adhaar card ki slip hai toh aap usse dubara banwa sakte hai ya phir agar aapke pass adhaar card ki photo copy hai toh bhi aap adhaar card nikalwa sakte hai.
Amandeep Singh says
mere pas adhar card ki photo copy hai per mera mobile no regiter nahi hai adhar card kaise on line niklega
Sunny Singh says
Ye aap adhaar card center par jakar niklwa sakte hai aur sath hi waha par jakar apna mobile no. bhi submit kara sakte hai.
sunil mandal says
humen adhar card receving ya photo copy ke jarie nikalna hai kaise nikalen
sunil mandal says
humen adhar card receving ya photo copy ke jarie nikalna hai kaise nikalen
Sunny Singh says
Adhaar card kaha se download kare ?
Aap is article ke jariye isko download karsakte hai.
r k srivastava says
aadhar nikalne ke liy sampark kare 9120715986 r k srivastava
vinod kumar says
Hi hilp you name pata karna hai Spalding pate karma hao
atash says
Sir ham apna aadhar card nikalna cha rhe he jaise jaise aapne ye uper smjha rkha hai uske acording humne deial kiya sir hamare mob. per jo 6 no. ka cod aaya vo hame OTP per deial karne per phir hamare mob. no. per cod aaya usko kanha per use karna hai.
Sunny Singh says
Form me OTP ka option diya hua hota hai waha par aap daal sakte hai.
sumit nandal says
mera aadhar card gum ho gya h maine jo number dala tha aadhar card form me o b yaad nhi h kya mein new number se aadhar card ka UID ya EID number nikal sakta hu…
Sunny Singh says
Iske liye toh aap adhaar card par jaakar sampark kar sakte hai.
ASHISH BAJPAI says
sir bina mobile no. and date of birth ke EID KAISE PRAPT KARE
Sunny Singh says
Aisa nhi ho sakta. Aapko mobile no. pta hona hi chahiye, bina mobile no. ke aap kuch bhi correction nhi kar sakte .
mohd islam says
Sir mere aadhar card me DOB aur name ki galti ho gayi hai to use sahi karwane ke liye kya karna hoga plz helph me sir
Sunny Singh says
Agar aapki date of birth galat ho gayi hai toh aap isko apne aap online bhi sahi kar sakte hai. bus aapke pass wahi mobile no hona chahiye jo ki aapne adhaar card ke form me daala hua hai.
raju gangwar says
Sar mera EID kho gaya or mene jo number dala rakha tha vo bhi kho gaya hai plasce may help you
Sunny Singh says
Ab aap Adhaar card center jakar pata kar sakte hai.
GOVIND KUMAR says
sir aadhar card me photo change kese kare please help me
GOVIND KUMAR says
sir…..aadhar card bharte samay me mobile number nihi diye the…..par ab mai dena chahta hu to ham aadhar card me apna mobile number sese uplod kare.please help me….sir
Sunny Singh says
Iske liye aap apne pass ke adhaar card center par jakar waha apna number de sakte hai.
GOVIND KUMAR says
sir PDF 24 Creator se fax kese kare please helps me sir
Sunny Singh says
I don’t know about this >
GOVIND KUMAR says
fax kese kare
Sunny Singh says
FAX karne ke liye toh aapke pass fax machine honi chahiye.
vindhesh says
sir mera adhar Nahi nikal raha mere pas EID&uid dino ha lekin name confirm Nahi ho raha ha kese nikale
vindhesh says
sir kab batayege
Sunny Singh says
Iske liye aap apne nearest Adhaar card center par jakar pata kar sakte hai.
Alam Raj says
sir mujhe aapna adhar card nikalne me dikhat hai
kyo ki jab hum apna Enrolment no dal rahe hai to invalid LIKH raha hai
( mere Enrolment number 14 ank ka hai aur ye 12 ank ka mang raha hai ) problem solve kijia
Sunny Singh says
Iske liye aap apne nearest adhaar card center se sampark kar sakte hai. Isme wo aapni bhut help kar skte hai.
rakesh says
Sir,ham apne village me ek aadhar enrollment center open karna chahte hai,parantu koi vishesh jaankari nahi hai ki kya kya process hai ,please mujhe sara process bataiye ,mai kisi dusre ka operator ban kar kaam nahi karna chahte hun balki mujhe aadhar banane ka apna id,password aur license ho,phir mai kuch dino ke baad dusare tisre ko operator niyukt kar saku,please mujhe jaroor bataiye,sir jaroor bataiye ,sir baar baar kahta hu ki mujhe jaroor bataiye ,please,aapke saare post ko padta hun parantu iske baare me kahin jaankari nahi hai sir,aapse request hai,please…..
Sunny Singh says
Rakesh iske baare me aap apni tehsil me jakar pata kar sakte hai.
Aur ager aap internet ka use karte hai toh aap Adhaar card ki official site par jakr isse related jaankari prapt kar sakte hai.
sunil soni says
Hi. Sir mere aadhar card me jo mobile no. Hai wo gum ho gaya h mujhe dusra mobile no. kaise dale
Sunny Singh says
change mobile number in aadhar online
sohil pathan says
sir. mera original aadhar card kho gya hai. but uski photo copy mere pass hai. lekin sir muje original aadhar card color wala chahiye to uske liye me kya karu ?
plz help me sir…..!
Sunny Singh says
Adhaar card kaise download kare ?
Aap humare is article ko padhkar new adhaar card nikaal sakte hai.
chetan kumawat says
sir, mere aadhar card me birth date wrong hai usko change karna hai.
plz help me sir…..!
Sunny Singh says
Ye toh aap apne kisi bhi ass pass ke adhaar card center par jakar change kara sakte ho.
Shubham trivedi says
Hello Sar kya Aap mukhe bata sakte hai ki Aadar card ko bina mobil number kese update kare koi software batadijiye plz sar
Sunny Singh says
Naya Mobile number adhaar card se kaise jode.
mahendra singh kirar says
ser mere pass aadhar number hai lekin name ki sahi speling match nahi ho rahi hai or mobile number apdet nahi hai ser kaise nikale plz
Sunny Singh says
Iske liye aapko apne najdiki adhaar card center se sampark kar sakte hai.
praveen says
sar mera aadar card mene june mahine me banane diya tha or meri meri aadar ki ob yaad nahi hai wo bhi gum ho gayi hai to aab me kya karu sir plzzzzzz kus to upaye batao
dev ramola says
Hello sir my neme is dev sir meri ek problem hai ki mera adhar card kahi khao gaya hai sir mujhe nahi uid .eid aur mobile number bhi pata nahi hai please help me sir
Sunny Singh says
Adhar card center par jakar aap iske baare me pata kar sakte hai.
Chandra Desai says
mere eid no hone ke bavjud download nhi ho rha h mere aadhar 2 year se check again few days bata rha h kya kru
Sunny Singh says
Iske baare me aap zaada jaankari adhaar card center par jkar pata kar sakte hai.
Aman Ali says
Sir maine Jo mobile number btaya tha wo Sim kho Gya hai binary phone number ke Eid pta nahi kar sakte sir please answer
Sunny Singh says
Iske liye toh aapko ab adhaar card center par jana hoga, wahi se aapko pata chalega, ki iska solution kya hai.
Raj hasn says
Mera aadhaar card bana hai ar 2011 me ar hum pin no nahi jante hai sir plz halp jawab de hum 5yers pare san hai aadhar centar me vi nahi huw wah vi pin pucharha tha contar no pzl 8873541827 plz call me plz plz plzplz
Raj hasn says
Mera aadhaar card bana hai ar 2011 me ar hum pin no nahi jante hai sir plz halp jawab de hum 5yers paresan hai aadhar centar me vi nahi huw wah vi pin pucharha tha contar no p
Mera aadhaar card bana hai ar 2011 me ar hum pin no nahi jante hai sir plz halp jawab de hum 5yers pare san hai aadhar centar me vi nahi huw wah vi pin pucharha tha contar no pzl 8873541827 plz call me plz plz plzplz
zl 8873541827 plz call me plz plz plzplz
Sunny Singh says
Apne jaha ka address diya hua hoga, waha kak postal code pin chahiye hota hai. toh wahi pin adhaar card me as a password chalta hai, toh aap wahi pin code daal kar dekh satke hai.
bharatarm says
bina mobile no. se juda aadhaar card , sirf enrollment no. se kese downlode kare aadhaar card
Nikhil Arora says
Mushkil hai, aapko mobile number jodna hi padega
Rohit meena says
Sir mene aadhar card creation krvaya tha lekin abi tk ni hua pls help me ni to me iit ka form ni dal paunga pura 1 month ho gya
Sunny Singh says
Aapka adhaar card bana nhi hai, aur agar aapne correction karaya hua hai toh aur wo abhi tak nhi aaya hai toh aapko thode intzaar ki zarurat hai, jiske baad aap apna adhaar card internet ke jariye nikal sakte hai.
Vinay Kumar says
sir – chote baccho ka aadhar card bhi bn sakta hai kya (2 months)
Sunny Singh says
Ji ha bilkul, iske liye aap apne najdiki adhaar card center par jakar pata kar sakte hai.
Dhiraj sharma says
Sir adhar download krne k liye net ki minimum speet kitni honi chahiye
Sunny Singh says
Kitni bhi ho sakti hai, kyuki adhaar card ki file Pdf file hoti hai, toh ye kam speed par bhi download ho jaati hai.