Vikas Plus

  • Basics
  • Blogger
  • Mobile
  • SEO
  • Adsense
  • Make Money
  • Hinglish
  • हिन्दी

Aadhaar Card Kaise Download Kare

August 23, 2015 By Nikhil Arora

Agar aapka Aadhaar card aapke address par nahi pahucha ya aapka aadhaar card kahi gum ho gaya hai to ghabaraiye nahi kyoki aap bohot asaani se internet se aadhaar card download kar sakte hai.

Online aadhaar card download karna bilkul free hai, aur uski manyata bilkul original card jaisi hi hai.

Aadhaar card do tariko se nikal sakta hai. Ya to UID ke dwara ya fir EID ke dwara.

UID : Aadhaar card par diye gae 12 digit number ko UID (Unique ID) kehte hai. UID ka isitimaal karke aadhaar card nikalne ke liye aapka mobile number aadhaar card ke sath juda hona jaroori hai, agar aapka mobile number nahi juda hua hai to aap EID ka use kar sakte hai.

EID : EID ko hum Enrollment ID bhi kehte hai. Ye Id aapke enrollment form par likhi hoti hai. Enrollment form wo form hai jo aapko Aadhaar card banawne ke baad diya jata hai. Hum is form par likhi poori id cahiye hogi, poori id me EID ke saath saat date aur time bhi hota hai.

aadhaar-card-enrollment-form-kya-hai

EID ke istimaal se Aadhaar card kaise nikale?

Sabse pehle to aapko aadhaar ki website par jana hoga.

Website par ek form bana hoga. Hume is form ko bharna hoga aadhaar card nikalne ke liye.

Check kare ki “I have” ke aage “Enrollment Id” par hi “.” dot lagi hui hai.

Phir aapne Enrollment form me se dekhkar bilkul ek jaisi details yaha form me daal de. Bilkul ek jaisi ka matlab agar aapka Naam Enrollment form me galat hai to yaha bhi galat hi dalega. (Galat details hum change bhi kar sakte hai).

aadhaar-card-EID-ke-dwara-download-kare

Aap yaha apna ya apne parivaar ke kisi bhi sadasya ka mobile number daal sakte hai. Aapke pass Aadhaar card nikalte samye ye mobile hona jaroori hai kyoki ispar abhi ek message aayga. (Ek mobile number par 5-6 baar hi aadhaar card nikal sakta hai.)

Mobile number daalne ke baad “Get one Time Password” par click kare. Click karne ke 2-3 min ke andar aapke mobile par ek message aa jayga, Is message me se code padhkar Neechen diye gaye “Enter OTP” field mai bhare.

aadhaar-card-download-kare

Validate & Download par click kare. Agar aapke sabhi details sahi bhari hogi to aapka Aadhaar card click karte hi download ho jayga.

Download kiye gaye Aadhaar card ko kholte wakat computer aapse password poochega. Ye password jo aapke upar form me PIN code bhara tha, wahi PIN code is form ka password hai.

UID ka istimaal karke Aadhaar card kaise prapt kare?

Agar aapko apni UID (Aadhaar number) pata hai aur apka mobile number Aadhaar card ke sath sahi se juda hua hai to aap bilkul aasaani se aadhaar card nikal sakte hai.

Aadhaar card ki website par jaiye.

Yaha se I have ke aage di gayi doosri yani Aadhaar wali dot select kijiye. Neeche diye gaye form ko bhariye.

aadhaar-card-UID-ke-dwara-download-kare

Isme sabse upar wali field me aapka Aadhaar number dalega. Poore form ko ekdum sahi sahi bharke “Get One Time Password” par click kijiye.

aadhaar-card-ka-number-confirm-kare

Website aapko apka number check karne ke liye aapke number ke 4 aakri ki digit dikhaegi. Agar yahi number aapke pass is wakt mojood hai to “confirm” par click kijiye.

Aapke mobile par Ed message aega, Is message me se password dekhkar neech diye gae “Enter OTP” field me bhare. Uske baad “Validate & Download” par click kare.

aadhaar-card-download-kare

Click karte hai aapka Aadhaar card download hona shuru hojayga.

Agar aapko Aadhaar card download karne se sambandhit koi bhi problem aati hai to neeche diye gaye comment box me comment kare.

Article padhne ke liye Thank you 🙂

Ye bhi Padhe:

  1. Sarkari result dekhne ki best websites.
  2. Adhaar card center kaise dudhe ?
  3. SSC kya hai ? 

Filed Under: Basics, Government Tagged With: Download, Form, Government

Comments

  1. Mintu Sharma says

    November 9, 2015 at 9:39 am

    mene 4 bar apply kiya h pr 4 bar rad ho gya h customer se bt kiya to btaya ki pahle wala enrollment btao mere pas to wah h nhi to unhone kaha ki ap net se pta kr lo pta chal jayega kese pta kyu

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 10, 2015 at 10:30 am

      Ek hi baare apply kar sakte hai Aadhaar card ke liye. Aapko apne sabse pehle enrolment number cahiye hoga, Aadhaar card center jaakar pata kare, Aur kya aapne pehle card banwate samye apna number diya tha?

      Reply
      • Naman kumar says

        September 16, 2016 at 3:01 am

        Mai ne addher card correction karwaya tha use ke bad ve correction nahi huaa or ise me mera photo ve nahi hai to kya kare ?

        Reply
        • Sunny Singh says

          September 16, 2016 at 12:03 pm

          Iske liye aap daubara adhaar card center par jakar waha par pata kar sakte hai, shyad aapka koi document poora nhi hua hai.

          Reply
    • WASEEM AKRAM says

      December 24, 2015 at 7:32 pm

      BETA HM APKI SMSYA BKHUBI SMJH RAHE H AAP CHEAK AADHAR STATUS PR APNA ENROLL NO ENTER KARE USKE ENTER KARNE K BAD AAPKO AAPKA SBHI NEW PURANA ENROLL MIL JAYEGA

      Reply
      • Vikas Plus says

        December 24, 2015 at 8:08 pm

        You are awesome 🙂 keep commenting and communicating…

        Reply
        • vicky dhale says

          January 10, 2016 at 2:53 am

          Boss mera original aadhar card gum ho gaya hai mai uski copy kaise nikal sakta hu plz help me sir

          Reply
          • Vikas Plus says

            January 11, 2016 at 10:45 am

            is liye aapko apna aadhaar card no. ya phir UID/EID no. pta hona chahiye. isko fill karne ke baad aapke pehle se feed kiye hue mobile no. par ek OTP msg aayega jisko dalne ke baad aap apna aadhaar card parpt kar sakte hai.

        • DR. BINOD KUMAR SINGH says

          March 9, 2016 at 3:05 pm

          Sir,
          mere pass uid no hai lekin usme mobile no juda hua nahi hai hame aadhaar card download karne hetu kya karna hoga

          Reply
          • Sunny Singh says

            March 10, 2016 at 11:22 am

            Dekhiye Sir Adhaar card ke liye aapke pass mobile no. hona must hai. kyiki iske bina OTP message nhi aayga. Zaada jaankari ke liye aap apne najdiki Adhaar card center par jaakar pata kar sakte hai.

    • RAJNISH KUMAR says

      April 21, 2016 at 5:19 am

      Kaise pta karein eid no please talk me plz……..

      Reply
      • Sunny Singh says

        April 22, 2016 at 10:38 am

        Aadhar Card Ki UID / EID Kaise Nikale
        As article ko padh kar aap seekh sakte hai.

        Reply
        • mohit kumar says

          May 10, 2016 at 11:15 am

          mohitgolain@gmail.com

          Reply
      • RAJ says

        August 1, 2016 at 12:37 pm

        KYA NAME SE AADHAR CARD DOWNLODE KAR SAKTE H

        Reply
        • Sunny Singh says

          August 2, 2016 at 10:42 am

          Nhi.

          Reply
          • Rajesh kumar says

            September 2, 2016 at 10:17 pm

            Sir mai apna adhar card download kr liya h bt pswrd ke jagah pin code v dal rha hu fir v nh open nh ho rha plz mjhe pswrd ka koi option btaye..

          • Sunny Singh says

            September 6, 2016 at 11:16 am

            Aisa toh nhi ho sakta kyuki password me pin code hi chalta hai.

        • Farhaan khan says

          August 9, 2016 at 9:30 pm

          Apna naam se yaar

          Reply
    • Anshika says

      February 1, 2017 at 2:27 pm

      Adhar card banne me maximum kitna time lagta h plzz reply….

      Reply
      • Nikhil Arora says

        February 3, 2017 at 3:39 pm

        7 Days.

        Reply
  2. rakesh jogchand says

    November 11, 2015 at 9:35 pm

    mere pass only enrollment noumber hei to me aadhaar card kese download karunga ?

    krapa kar ke mujhe margdarshan de

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:28 pm

      Article mai maine yahi to bataya hai. Aapko kya problem aa rahi hai?

      Reply
    • WASEEM AKRAM says

      December 24, 2015 at 7:39 pm

      shisye aap aadhar card jesi ek vichitr website h jise aap adhar card likh kr puneh khol skte h wha apna name enroll no date postal no ityadi dal kr phone no dale jo aapke pass mojood ho us pr otp aayega usko otp m entr kr k click kr de aapka aadhar downlod ho jayega

      Reply
      • Vikas Plus says

        December 24, 2015 at 8:08 pm

        Thank you for comments 🙂 Bohot acche.

        Reply
  3. anil prajapati says

    November 11, 2015 at 9:39 pm

    mere pass only enrollment noumber hei to me aadhaar card kese download karunga

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 14, 2015 at 7:27 pm

      Poora enrollment number hona cahiye date ke sath..

      Reply
  4. Subhash tiwari says

    November 23, 2015 at 6:12 pm

    Agar adhar card gum jaye aur mobail no.bhi pta na ho aur enrolment no.bhi na pta ho to adhar card kaise fir se milega.ya fis ne nya bnwana padega.plz rpl sir

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 24, 2015 at 10:23 am

      Ese mai aapko kisi aadhaar card center par jaakar baat karni hogi, unhe apni samasya bataye, wo aapke liye usi aadhaar card ki copy nikal denge.

      Reply
    • sunykumar says

      February 4, 2016 at 7:55 pm

      Mera aadhar cord gum ho gaya or uska no.bi band h mere pass koyi bhi kagaj nahi h muje dusra aadhar card chhiye

      Reply
      • Vikas Plus says

        February 5, 2016 at 10:24 am

        Aise toh aapke liye bhut badi problem hai. Kya aapke pass us adhaar card ka no. hai. Agar hai toh us no. ki madad se dusra adhaar card nikal sakta hai.

        Reply
  5. devendra rajak says

    November 25, 2015 at 12:28 pm

    agar enrollment from kho gaya ho to adhar cards downloads kase kare or mobile number regitered na ho to adhar cards kase downloads karege.

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 25, 2015 at 12:54 pm

      Mobile number ke bina Online nahi nikaal sakte.. Ab aapko kisi aadhaar card center mai jaakar baat karni hogi.

      Reply
  6. Ayush says

    November 29, 2015 at 3:30 am

    Sir hamare mobile par pin OPT dal diy fhir mobile par Aadhar Number aya ab kya kare Lenin aadhar card download nhe hu kya kare

    Reply
    • Vikas Plus says

      November 29, 2015 at 11:29 am

      Jab aap mobile par prapt OTP ko daalkar “Validate and Download” par click karege to Aadhaar card download ho jaega.

      Reply
  7. NEELAM JAH says

    December 11, 2015 at 1:17 pm

    AGAR AADHAR NO SE AADHAR CARD NIKAL RAHE HAI AUR ONE TIME PASSWORD KE LIYE MOBILE NO CHANGE HO GAYA HAI TO AADHAR CARD KAISE NIKALE

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 11, 2015 at 2:05 pm

      Aadhar card ke liye phone no zaroori hai. Aur OTP bhi usi number par aayga jo number Aadhar card banwate waqt diya gya hoga aur Phone no ko aap change bhi nhi kar sakte hai. Isse zaada jaankari aap Aadhar card centre se parpt kar sakte hai. Aadhr card centre

      Reply
  8. gudesh singh says

    December 15, 2015 at 5:39 pm

    Aadhar card me name galat ho jaane pe kitni baar sudhar ka niyam hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 16, 2015 at 12:28 pm

      Iske liye aap apne pass ke jan suchna kendra (जन सुचना केन्‍द्र) ya Aadar card centre par jakar pta kar sakte hai

      Reply
  9. Ayush Sharma says

    December 20, 2015 at 11:45 pm

    Sir ye kah rahe h ki agar surf aadhar card no pata ho to kaise aadhar card nikale

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 21, 2015 at 1:02 pm

      Aadhar card ke sath sath mobile no., Enroll. No. Date & time bhi hona zaroori hai.

      Reply
  10. HuMera saif says

    December 23, 2015 at 7:45 pm

    Sir me apna adhar card kse dwld kru mne kafi bar try kiya but nahi hua.

    Reply
    • Vikas Plus says

      December 24, 2015 at 11:27 am

      Kya problem aa rahi hai Saif ji? Error kya show ho rahi hai?

      Reply
  11. ayush says

    December 26, 2015 at 12:40 pm

    Sir ham apni pure details aadhar card form me bhar dete h fir mere mobile number par otp cord aa jata h use dal dete h otp option me iske bad download ka option aata h us par click karte h to download failed aa jaata likh download ho nhe raha h kyo please help me and reply

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 4, 2016 at 11:35 am

      Agar aapka Aadhar card download nhi ho pa raha hai toh aapne pass ke Aadhar card centre par jakar waha se apna Aadhar card parpt kar sakte hai.

      Reply
  12. ameer says

    January 12, 2016 at 10:42 pm

    sir mera adhaar card dounload ho ja raha hai lekin doload file jab bhi open kar raha hu to password mang raha hai
    plz aap batayiye waha kya dalna hai

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 20, 2016 at 11:44 am

      Iske liye aap apne najdiki Aadhar card center par pta kar sakte hai.

      Reply
  13. PRAMOD PRATAP says

    January 22, 2016 at 5:14 am

    BHAI MERA ADHAR LOAD TO HO JATA HAI PAR KHULTA NAHI HAI

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 22, 2016 at 11:49 am

      Iske liye aapko usme ek password dalna padega. jo ki aapki city ka pin code hota hai, jisko daalne ke baad aapka aadhaar card khul jayega.

      Reply
  14. vinay says

    January 27, 2016 at 8:56 pm

    na to rasdi hae or na to mobil nambar add hae to aadhar kease milega bataey oar koi application mail kar de

    Reply
    • Vikas Plus says

      January 28, 2016 at 11:37 am

      Aise toh aaka adhaar card mil bhut hi muskil hai kyuki aapke pass kuch bhi nhi hai. phir bhi aap ek baar Adhaar card center jakar pata kar sakte hai.

      Reply
  15. chitranjan yadav says

    February 8, 2016 at 9:43 pm

    brother main aapna adhar kaise download karu

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 9, 2016 at 10:51 am

      Article me bataye gaye steps ko follow kijiye. Aapka adhaar card download ho jayga.

      Reply
  16. Jasim Khan says

    February 13, 2016 at 11:49 pm

    Ye btaiye jb aadhaar card data update ke liye click krte he to aadhaar number aor URN number mangta he to ye btaiye URN number kiya hota he.

    Reply
    • Vikas Plus says

      February 15, 2016 at 12:10 pm

      URN ( Update request no. ) hota hai jo aapko udate form fill karne ke baad diya jaata hai. aur yahi no. baad me aapko updation ke last step me dena hota hai.

      Reply
  17. waseem ahmad says

    February 20, 2016 at 5:01 pm

    sir mujhe online ration card apply karna hai to sir mujhe yeh bataiye ki mujhe log in karne ke liye user id aur password kaise milega

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 23, 2016 at 10:30 am

      Iske liye aapko kisi bhi parkar ke user Id ki zarurat nhi hai. wo sirf official use ke liye hoti hai.

      Reply
  18. Naresh Rana says

    February 22, 2016 at 8:13 pm

    Sir mobile nu. Enter karne par bhi otp code ka msg nahi aya

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 23, 2016 at 10:17 am

      kya aapka mobile no. sahi hai ? agar ha toh aap iske liye apne najdeeki Adhaar card centre par jaakar pata kar sakte hai.

      Reply
  19. sk antal says

    February 26, 2016 at 8:37 pm

    otp no. nahi aaya

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 29, 2016 at 11:43 am

      Phone no. check kijiye kya wahi phone no. hai jo aapne adhaar card banwate time submit karaye tha.

      Reply
  20. shivam dixit says

    February 29, 2016 at 11:57 am

    me apna pin cod bhol gya hu mere pass kebal adhar nambar h or mobail no.jo ki adhar se juda h me kya karu aap margdarsan de

    Reply
    • Sunny Singh says

      February 29, 2016 at 12:02 pm

      Pin code ka matlab hota hai aapki city ka postal code ye toh aapko kahi par bhi mil jayga.

      Reply
  21. surendra says

    March 9, 2016 at 9:37 am

    sir,may i take your mobile number please?

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 9, 2016 at 10:23 am

      We are available only on Facebook If you put up any question plz contact us on Facebook Group

      Reply
  22. kushal says

    March 15, 2016 at 4:53 pm

    mere pass aadhar no hai but mobil no ragisterd nahi hai to online aadhar kese dhunde please please reply me

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 17, 2016 at 10:32 am

      Ye toh aap Adhaar card center par jaakar pata kar sakte hai.

      Reply
  23. rattan singh says

    March 30, 2016 at 10:28 am

    Meri wife ka adhaar card nahi mila

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 30, 2016 at 10:32 am

      Adhaar card center par jakar pata kar sakte hai.

      Reply
  24. sanjay sharma says

    March 31, 2016 at 12:22 pm

    sir mera aadhar card downlod ho gaya h per kul nhi reha h.pdf file hone k kaaren perviw nhi show ker reha h.

    Reply
    • Sunny Singh says

      March 31, 2016 at 12:39 pm

      Iske liye aap Adobe ka software download kar sakte hai.

      Reply
  25. harish says

    April 9, 2016 at 10:44 am

    Sar mera aadhar card gum ho gayaa he or parchi bhi nahi he or ragister mobil namber bhi band he muje sirf adhaar namber hi yaad he to me duara aadhaar kese nikalu

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 9, 2016 at 11:56 am

      Agar aapko Adhaar no. yaad hai toh aap apne najdiki Adhaar card center par jakar pata kar sakte hai.

      Reply
  26. Talib mohammad says

    April 11, 2016 at 5:44 pm

    download hone ke paschat password mang raha hai uske liye kya kiya jaye

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 12, 2016 at 10:40 am

      Isme aap apni city ka pincode fill up kar sakte hai.

      Reply
  27. neeraj saini says

    April 13, 2016 at 12:10 pm

    sir mere pass kewal uid number h na to mobile number dala h aur na hi naam ki spelling sahi bata raha h me naam ki correct spelling kaise pata karu plz help me sir tollfree waale nahi batate h naam ki spelling

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 13, 2016 at 12:18 pm

      Wo nhi batayege aap ek kaam kijiye apne pass ke adhaar card center par jaakar ye sab pata kar sakte hai. Wo bhi bhut hi kam fees lekar aapke saare kaam kar dege, aap jo bhi mobile no. dalwana chahte hai waha par submit kara sakte hai.

      Reply
  28. sadik ekbal says

    April 21, 2016 at 7:35 pm

    aadhaar card ka websaid keya hai sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      April 22, 2016 at 10:34 am

      humne article me link di hui hai check kijiye

      Reply
  29. Raghunandan says

    May 8, 2016 at 1:12 am

    Mera jo no register kiya h wo kho chuka h

    Reply
  30. Raghunandan says

    May 8, 2016 at 1:14 am

    Mera phone no kho chuka h jo maine register kiya tha

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 9, 2016 at 10:58 am

      Toh phir Adhaar card center jakar pata kar sakte hai.

      Reply
  31. vikash kumar says

    May 14, 2016 at 7:08 am

    Adhar card me incorrect name ko kaise change kare full detail me bataeye na sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 14, 2016 at 10:24 am

      Aap iske baare me Adhaar card center jakar pata kar sakte hai.

      Reply
  32. vikash kumar says

    May 16, 2016 at 5:44 pm

    Mai khud hi naam sudharna chah rha hu to kaise kyuki mai adhar print nikal leta hu but name sudharne ka option bataye plz pura detail me

    Reply
    • Sunny Singh says

      May 21, 2016 at 11:29 am

      Adhaar card center par jakar pata kijiye.

      Reply
  33. kajal negi says

    May 27, 2016 at 2:20 pm

    Hello dosto jin – jin ko problem, naam sudharne ya number wali problem ho rahi h to unhe adhar card update karna padega usme wo jo sahi naam dalna chahte hai ya jo number dalna chahte hai daal sakte hai,, par han adhar k center me jaoge to apko batana chahugi wo log b kaam online hi karege,, ghumfirkr baat fir mobile par ruk jayegi jis vjh se adhar card update hona muskil ho jayega isliye wo b advice offline ki dege so mudde ki baat ye h jinki number ki naam vagrh change karne ki problem to wo adhar card update kr sakte h but its offline yani dosto net ki side me jakar adhar update form nikal lo use feel up karo or apna koi identity proof jisme jo number dilana chahte ho wo address sabkuch sahi ho identity proof yani identity card school /clg ka vagrh or bs post kr do,, or bs wait karo thoda time lagega bt kaam ho jayega updation adhar offline h so ye online nhi hota h so apki sari pareshani solf adhar center b yahi jankari dege to ap sabke ans adhar update nd offline form me akar ruk jayege so isliye mene bata diya kyoki ap sab dosto ki ek problem so uska bs yahi solution umid karti hu ap sab satisfied ho tc dosto..

    Reply
  34. Vijay Patel says

    June 30, 2016 at 8:56 am

    Mujhe apna address change karna hai mai dusre state me shift ho gaya hu koi upay ho to bataye

    Reply
    • Sunny Singh says

      June 30, 2016 at 12:32 pm

      Iske liye aap ya toh apne najdiki adhaar card center par jaakr ye change kara sakte hai, ya phir internet ke jariye bhi change kar sakte hai. iske liye aapko ssup.uidai.gov.in/web/guest/update par jarkar baaki procdure ko follow karna hoga.

      Reply
  35. suubhash kumar kushwaha says

    July 1, 2016 at 8:08 pm

    sir mera aadhhar card apply hua mujhe receving nahi mila aur mobile n. bhi nhi dala gaya ab aap hi batae ki mai kay karu mujhe aadhhar card ki bhut jaruri h

    ‘

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 4, 2016 at 10:32 am

      Toh aap isme adhaar card no daal sakte hai.

      Reply
  36. Ashok Choudhary says

    July 9, 2016 at 4:48 pm

    Hello sir mere Aadhaar card me photo change ho skta h kya

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 11, 2016 at 11:38 am

      Photo change karne ke liye toh aap adhaar card center par jaana hoga, wahi par aapka naya recent photo aapke adhaar card se attach ho jaayga.

      Reply
  37. CHINTAMAN VISHWAKARMA says

    July 14, 2016 at 8:11 pm

    11712628504974 02042013222150 NAME AAVITA MERA AADAR CARD DAUNLOD HO SAKE 2013 SE MERA AADHAR ABHI TAK PAINDIG DALA HAI MERA ADMISAN RUKA HUAA HAI

    Reply
  38. CHINTAMAN VISHWAKARMA says

    July 14, 2016 at 8:15 pm

    10472938403729 21062016112036 yah aadhar card sir ji abhi tak paindig dala huaa hai jisse bachche ka admisan ruka huaa hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 15, 2016 at 10:14 am

      Iske liye aap apne najdiki Adhaar card center par jakar unse iske baare m information le sakte hai.

      Reply
  39. umesh dhami says

    July 21, 2016 at 11:44 pm

    jiske paass na uid num, hai or na hi eid num. wo apna aadhar card kaise nikalega……..

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 22, 2016 at 10:34 am

      Ager aapke pass ye dono hi nunber nhi hai toh aap Adhaar card center par jakr sampark kar sakte hai, unke pass sabhi cheez ka solution hota hai.

      Reply
  40. irfan ansari says

    July 27, 2016 at 1:05 pm

    Adhar card banane ke bad Jo form milta h wobhi kho chuka h sir
    An mai apne adharcard kaise pa Sakta hu .ya for se mai dusra adhar card banda Sakta hu
    Please help me sir

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 28, 2016 at 10:51 am

      Ye toh bhut muskil kaam hai. Iske liye aap ek baar adhaar card center par jakr pata kar sakte hai.

      Reply
  41. ravindra singh says

    July 28, 2016 at 10:55 am

    sir meri problam ye hai ki mene apna aadhar card 20 se jyada bar download kiya hai ab me dubara download karne ki kosis kerta to hu to download nhi ho rha hai ab muje kya kerna chahiye download kerne k liye

    Reply
    • Sunny Singh says

      July 29, 2016 at 11:22 am

      Waise aapne itni baar download karke adhaar card ka kiya kya hai ?
      Ab Adhaar card center par jakr isse related jaankari le sakte hai.

      Reply
  42. sahadev khotkar says

    August 1, 2016 at 8:21 pm

    sar mere adhar emrolment me fingreprint me khun dikha rahe hai aur aadhar downlod nahi ho raha plz sir bataye

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 2, 2016 at 10:49 am

      Iske liye aap apne najdiki adhaar card center par jakr pata kar sakte ho. Jaha par aapki sabhi samsyo ka samadhaan kar diya jaayga.

      Reply
  43. Ashok kumar says

    August 6, 2016 at 7:56 am

    enrollment number match nahi karta hai kyu

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 6, 2016 at 10:47 am

      Iske liye aap adhaar card center par jakar unse sampark kar sakte hai.

      Reply
  44. sajiđ says

    August 10, 2016 at 5:37 pm

    Bina registered mobile ke
    Aadhar nikal jayega kaise?

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 12, 2016 at 2:28 pm

      Nhi bina mobile number register ke adhaar card nhi nikal sakta.

      Reply
  45. Deepak says

    August 26, 2016 at 1:26 pm

    Sir mene apne aadhar card me sarname chage kiya hai to me kese nikalu

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 27, 2016 at 2:12 pm

      Article me diye gaye tarike ko follow kijiye

      Reply
  46. vijay says

    August 29, 2016 at 10:20 pm

    Mera original aadhar card abhi tak nhi aya boss original mang rage h but mere e-aadhar card hai kya kru plz help

    Reply
    • Sunny Singh says

      August 30, 2016 at 10:39 am

      Toh e-adhaar card bhi toh original hi hota hai, wo toh sabhi jagho par chal jaata hai.

      Reply
  47. Balmiki kumar says

    September 14, 2016 at 3:42 am

    Sir aadhar card download hone me baad show nahi Marta Thai mai apne mobile me download kiya hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 14, 2016 at 10:58 am

      Aapka mobile pdf file ko support nhi kr raha hai, aap apni adhaar card file ko PC me dekh sakte hai.

      Reply
  48. Hemsagar says

    September 16, 2016 at 12:02 pm

    Aadhar card downlaod k bad use print kaise kare ,

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 16, 2016 at 1:44 pm

      Adhaar card ko pdf file me khol kar print kr sakte hai, agar pdf file me kholne par password mange toh aap usme apni city ka pin code daal sakte hai.

      Reply
  49. Deepak Madhele says

    September 18, 2016 at 2:47 pm

    Mobbile se pay slip kese dekhe .pls help me.

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 20, 2016 at 2:29 pm

      Mobile se pay slip nhi dekh sakte.

      Reply
  50. Adarsh Soni says

    September 23, 2016 at 9:55 pm

    Sir,Tablet me Kaiser Aadhaar card Kaiser download hota hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 24, 2016 at 11:05 am

      Jaise aap laptop me download karte hai thik waise hi aap tablet me download kar sakte hai.

      Reply
  51. mukeshkumar says

    September 29, 2016 at 4:53 pm

    sir aadhaar card banane ka work kase le

    Reply
    • Sunny Singh says

      September 30, 2016 at 2:03 pm

      Iski jaankari toh aapko adhaar card ki website se mil jaaygi

      Reply
  52. adrish khan says

    October 6, 2016 at 9:49 pm

    sir Maine aaj adhar card apply kiya h or meri bank ki 15 dino baad exam h or use I’d proof hona chahiye pr mere pass kux bhi nhi h to sir m adhar card 15 din me kaise receive kr skta hu btaiye plzz urgent

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 7, 2016 at 10:57 am

      Nhi itni zaldi toh nhi mil sakta.

      Reply
  53. satyam says

    October 14, 2016 at 3:08 pm

    sir jab aadhar card download hota hai to jab pdf open karte hai to password kya dalte hain

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 15, 2016 at 10:46 am

      Uske ander aap apni city ka pin code daal sakte hai.

      Reply
  54. dharam says

    October 17, 2016 at 12:48 am

    download hone baad bhi pasword maang rha hai open krne pr kaise kre

    Reply
    • Sunny Singh says

      October 18, 2016 at 11:02 am

      Ha toh uske ander aap apne area postal pin code daal sakte hai.

      Reply
  55. MOHD ZUBER says

    October 23, 2016 at 9:50 am

    MY ADHAR CARD CENTER KOI BHI PROBLEM HO TO SAMPRK KRE 30 DAYS OPEN
    MO +91-7786015043

    Reply
  56. vikash kumar says

    November 28, 2016 at 9:21 am

    sir Maine 26/11/2016 ko adhar card apply kiya hu adhar card kitna din me miljayega

    Reply
    • Sunny Singh says

      November 30, 2016 at 2:16 pm

      kam se kam 1 month

      Reply
  57. upendra kumar says

    December 10, 2016 at 12:33 pm

    Hlo sir mera Aadhhar card ka reciving kho gya hai to uska Enrolment no. And date kase pata hoga

    Reply
    • Sunny Singh says

      December 21, 2016 at 3:25 pm

      Ab toh aap Adhar card center par jakar hi iske baare me jankari le satke hai.

      Reply
  58. pooja kumari says

    December 13, 2016 at 8:28 pm

    sir aadhar card download nhi ho rha password maag rha . opt code dalne k baad download hone k liye password maag rha…… kya kru???

    Reply
    • Sunny Singh says

      December 21, 2016 at 2:54 pm

      Wo password aapka postal pin code hai aap usko daal sakte hai.

      Reply
  59. tarun gupta says

    December 17, 2016 at 2:41 am

    kya teblet se bhi adhar card bna skte hai kya

    Reply
    • Nikhil Arora says

      December 17, 2016 at 1:27 pm

      aap aadhar card ki website tablet par khol kar use edit kar sakte hai. Lekin banwane ke liye aapko center par hi jana padega.

      Reply
  60. ranjit shikari says

    December 20, 2016 at 10:29 am

    mene adhar apply kia he. or mujhe e-aadhar download ki link v mil chiki he mere mobile pe. toh mujhe ye janna he ki hum download kia hua or hume jo government se humare ghar pr aaya hua aadhar card quality me kya fark hota he. or ek bat humne turant online aadhar card nikalne k baad jo government ka adhar prossege me hota he jo ghar pe ata he vo bhi hume milta he kya. ya online nikalne k baad government ka adhar card radd kia jata he?? plz help

    Reply
    • Sunny Singh says

      December 21, 2016 at 2:32 pm

      Aapke dono ki adhaar card card manaya hote hai, chahe who e-adhaar card ho ya phir ghar par aane wala original adhaar card

      Reply
  61. kamran says

    January 1, 2017 at 10:39 pm

    Sir maine new adharcard banvaya hai wo kitne din me net pe aa jaiga

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 2, 2017 at 10:23 am

      Kam se kam 15 din me

      Reply
  62. vijay nandwani says

    January 4, 2017 at 10:33 am

    Sir meny kal apna aadar aadar card apply kiya hai
    Sir aap mujko btaa skte hai ki me net se aadar card kitne days me nikal vaa skta hu

    Because vs to ghar pr aadar card 1 month me aay ga
    Aur mujko uski aavskta abi hai

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 4, 2017 at 12:25 pm

      Kam se kam aap adhaar card 15 din ke baad likal sakte hai.

      Reply
  63. adarsh kashaudhan says

    January 16, 2017 at 11:24 pm

    mere adhar ka pdf downlod ho gaya h .par wo khul nahi raha h khulne par pin mang raha h wo pin hame nahi pata ..hamne ka e saare pin try kiye wo khul hi nahi raha h

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 17, 2017 at 10:39 am

      Wo aapka Postal Pin Code hai, jo aap use password ke tor par daal sakte ho.

      Reply
  64. Jitendta Thakur says

    January 17, 2017 at 11:53 am

    Agar Adhar card Adhaar number se download karna ho to kaise kare register number nahi hai to adhaar card kaise download kare.

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 18, 2017 at 1:25 pm

      Aap apne pass ke adhaar card center par jakar aisa kar sakte hai.

      Reply
  65. Rupesh Raj says

    January 17, 2017 at 1:41 pm

    sir kya hum apna aadhar kard ka photo cheng karwa sakte hai

    Reply
  66. Rupesh Raj says

    January 17, 2017 at 1:44 pm

    SIR KYA HUM APNA AADHAR CARD KA PHOTO CHENG KAISE KARWE

    Reply
    • Sunny Singh says

      January 18, 2017 at 10:46 am

      Wo aap kisi bhi adhaar center par jakar change karwa sakte hai.

      Reply
  67. Rupesh raj says

    January 17, 2017 at 1:57 pm

    HELLO SIR

    Reply
  68. manish says

    January 20, 2017 at 2:59 pm

    sir adhar card me correction kerne par adhar card ka number badalta hai ke nahi.

    Reply
    • Nikhil Arora says

      January 20, 2017 at 3:32 pm

      Nhi.

      Reply
  69. simrat singh says

    January 28, 2017 at 5:34 pm

    thanks sir

    Reply
  70. govind gaud says

    February 2, 2017 at 8:13 pm

    mere adhaar me a k number galat hogaya hai mera janm tithi 20-7-1997 hai lekin mere adhaar me 10-7-1997 ho gaya esko sudhar kai kiya jaye pilis helph mi

    Reply

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

  • Facebook
  • Google+
  • Twitter
  • YouTube

Vikas Plus Search Kare

Categories

  • Adsense
  • Affiliate Marketing
  • Basics
  • Blogger
  • Business
  • Collection
  • Computer
  • Email
  • Government
  • Guest Post
  • Internet
  • Make Money
  • Mobile
  • SEO
  • Social Network
  • Web Browsers
  • Web Design
  • Wordpress
  • YouTube

Copyright © 2025 · Vikas Plus Media

  • Privacy Policy
  • About Us
  • Contact