Aaj kal Vikas Plus blog par, Facebook Group aur page par har jagah zaada tar Bloggers, visitors humse yahi question puch rahe hai ki :
Adsense kya hai aur isse paise kaise kamaye ja sakte hai ?
Aap Video bhi dekh sakte hai:
Toh Maine socha kyu na Google Adsense se related ek series bana di jaye, jisse ki logo ko Adsense se related sabhi parkar ki jaakari ek hi website par mil jaye.
Isse ye faayda hoga ki aapko Adsense se related question, doubt aur suggestion ke liye alag alag websites par visit nhi karni hogi aur isse aapki preshani bhi bhut kam ho jaygi.
Google Adsense kya hai ye batane se pehle mai aapko ek story sunana chahta hu, jisse aapko Adsense ke fundamentals ko samjne me kaafi help milegi.
Suppose aapne ek Shopping Mall khola hai, ab shopping mall me aapne dekha hai ki bhut rush ( भीड़ ) hoti hai, kyo? kyuki waha par alag alag tarh ka samaan ek hi chat ( छत ) ke niche aapko mil jata hai.
Maan lijiye meri ek company hai or hum se naya product launch kar rahe hai toh jahir si baat hai ki agar muje aapna product bechna hai toh mere ko us product ka promotion toh krna hi padega.
Mujhe pata hai ki aapke Shopping mall me bohot rush rehta hai, aur wo product promote karne ke liye bhadiya jagha hai. Humne decide kiya ki aapke shopping mall mai hume apne Banners lagane hai.
Udhar se aap bhi cahte hai ki koi company mall me aakar kuch Ads lagaye jisse ki aapko bhi kuch side income ho.
Gupta ji ek brocker hai jo isi cheez ka kaam karte hai, wo company ke promotion me help karte hai, wo companies se Ads lekar, Mall jaisi jaghao par lagate hai. Unhe pata hai ki konsi company ka Ad konsi jagha par lagana cahiye aur kaha par wo ad jaada chalega.
Mai Gupta ji ko apne product ke baare me samjha dunga, aur udhar se aap bhi Gupta ji ko ke dete hai ki “Mujhe mall me ads lagane hai”.
Gupta ji dono parties ke fayada karwate hai, companies ko promotion ke liye jagha dhundane ki sirdardi nahi leni padti aur aapko companies dhuni nahi padti.
Bas Gupta ji beech me se thodi commision kaat kar aapko baaki paise de dete hai.
Gupta ji ek Advertisement Agent hai.
Internet par Advertisement agent ya fir platform Google Adsense hai.
Companies jo apna product promote karna chahti hai unhe hum Advertisers kehte hai.
Aur Blogs, Websites ya phir asli ke Shopping mall ko hum Publishers kehte hai.
Simple language me Agar aapko kisi bhi tarah ke ads lagwane hai toh aap sabse pehle Ad network ke pass jayge ki mere ko is shop par ad lagwana hai.
Toh hoga ye ki wo Ad network (Gupta ji) aapse ad lagwane ke paise le lega aur us shop ke owner ko aapke dwara diye gaye paiso me se kuch de dega aur comission apne pass rakh lega, kyuki saari tension ab uski hai, ki ad kaha par lagana hai, konsi company ka lagana hai.
Udharan ke toar par: Agar Ad network mujhse meri company ka product promote karne 100 rs leta hai, toh wo shop ke owner ko 70 rs dega aur baaki ke 30rs apne pass rakh lega.
Google Adsense kya hai ?
Google Adsense ek ad network hai jo Advertiser se ad lekar aapki website par show kar deta hai. Aapko kisi bhi tarha ki koi tension lene ki zarurat nhi hai. Kyuki aapko bas ek code dena hota hai ki aap website par kis jagah ads lagwana cahte hai, uske baad Google hi sab kuch manage kar leta hai.
Example : Google jab bhi kisi website par ads lagata hai toh wo us website ya blog ka content, visitor sab kuch dhyaan me rakh kar hi website ke matlab ke hi ads lagata hai.
Use ye sab pata rehta hai ko website ke visitor bada hai ya baccha, ladka hai ya ladki. Agar baccha hai to wo usse khilono ke Ads dikha sakta hai aur agar ladki hai to use Shopping ke Ads dikh sakte hai.
Adsense isliye famous hai kyoki uski earnings aur Ads quality sabse bhadiya hai. Google ka hone ke kaara aap Adsense ke technology par bharosa bhi kar sakte hai.
Ye Adsense series ka pehla article hai, jisme humne aapko btaya ki Adsense kya hai ?
Agle article me hum aapko batayege ki Adsense se paise kaise kamate hai ?
Aapko Humara ye article kaisa laga ya aapke koi sujaav ho toh aap hume niche bane hue comment box me bata sakte hai.
Aap humne Facbook par bhi follow kar sakte hai aur Humara Facebook Group join karke daily quality updates le sakte hai.
Thank you .
hari narayan says
Sir adsense me apply karne ke liye minimum kitne traffic chahiye hota hai..aur alexa rank kitna hona chahiye..
Sunny Singh says
Hari narayan Adsense ke liye kam se kam 200-300 ka tarffic chahiye hota hai. Waise humne Adsense ki ye series launch ki hai, aapko zaldi hi tarffic se related article dikhne ko mil jayga.
Keep following Vikas Plus .
Abhinav Mishra says
Very Nice Article, Thanks For Sharing.
Sunny Singh says
Thank you Abhinav
Saurav says
Adsense me registration krne pr jo website mangta hai
main usme kya submit krun
mera blog url http://forfuture.heck.in hai
Sunny Singh says
Ha toh aapko apne blog ka naam hi submit karna hota hai.
Manish Sharma says
Sir Agar Blog per daily 300 400 pagviews ho toh AdSense apply kar saktey hai
Sunny Singh says
Ji ha bilkul aap apply kar skate hai.
Alkesh says
Sr kya hum google AdSense facebook paj pr bhi lgva sekte he.
Sunny Singh says
Nhi only for blog and websites.
Alkesh says
Thanks Sunny ji