Internet par Google sabse jaada use hone waali website hai, Aisa isliye hai kyoki Google par hi to hum duniya ki baaki saari websites ko search karte hai. Google wale search ke sath sath aur bhi services jaise ki YouTube, News, Maps bhi dete hai. Ab jo bhi hum Google ki services me search karte hai wo sab kuch history me save ho jata hai.
History matlab Itihaas, history ka ye fayada hai ki aap dekh sakte hai ki aapne kuch der pehle kya search kiya tha. History sift kuch dino ke liye hi seemit nahi hai Google aapki kayi mahine pehle ki bhi history save rakhta hai. Ye History online hamare Google ke account me save hoti hai aur isse sirf hum hi dekh sakte hai.
Google is history ko dekhkar hamaari jaroorato ko samajhta hai aur us hissab se hume search results dikhata hai. Iska ek udharan Youtube hai aapne dekha hoga ki aap youtube par jis bhi vishye me search karte hai, use milte julte topic apne aap YouTube homepage par aane lagte hai.
Lekin aap apni privacy badhane ke liye History ko delete bhi kar sakte ho. Aur aisi setting bhi kar sakte ho jisse aapki History Google ke paas kabhi save na ho sake.
History dekhne ke liye aap history.google.com par apne Google account se login kare.
Ab aapke saamne aapki Search results ki saari history aa jayegi.
Kisi purani date ya mahine ki history dekhne ke liye upar bane calendar par click kare, aur date select kare.
Agar aapko sirf kuch searches ki history delete karni hai to aap Items select karke upar se Delete button par click kar sakte hai.
Youtube, Maps, Device, Voice in sabhi ki history dekhne ke liye left me upar bane menu par click kare. Aur menu me se search item select karle.
Agar aap History ko save hone se pause (rokna) cahte ho to aap Upar menu me setting par click kare.
Images Dwara kaise kare Google Search
aur next page se switch ko bund kardo.
History ko pause karne ke baad aapki puraani history delete nahi hoti, agar aap apni purani history bhi delete karna cahte hai to right menu me jaakar Delete options par click kare.
Ap aap jitni cahiye utni purani History ko delete kar sakte hai.
Esi hi aur jaankari ke liye hamara Facebook Group Join kare, Thank You…
RAMESH SINGH says
NIKHIL JI AAPKI YEH POST KAAFI KNOWLEDGE DENE WALI HAI, ISSE LOGO KO HINDI ME JAANKARI SE BAHUT FAYDA PAHUCHEGA, THANKS ABOUT THIS.
Sunny Singh says
Your welcome
Keep following vikas plus
MOHIT says
ham jab google chorme pe kuchh search karte hai to uske sath aor bhi kai page open hone lagte hai. ak sath 4 5 page khulne lagte hai jo ham bahut pahle kholchuke hote hai wo.
TO HAM KYA KARE KUCHH BATAIYE PLEASE
Sunny Singh says
Aisa mere sath nhi hota hai, toh m iske baare me kaise bata sakta hu.