Kya aap Facebook account delete karne waale hai ya Hack hone ke dar se apne Facebook account ka data backup karna cahte hai, to mai aapko batana cahta hu ki Facebook se backup lena bahut hi aasaan hai.
Aap me se kayi logo ne Facebook profile kayi saalo pehle banayi hogi, aur ab tak bohot si photos unpar daali hogi. Aur agar aap unhe apne pass offline bhi rakhna cahte hai to aap bhi apne Facebook account ka backup le sakte hai.
Facebook ke pass ek apna hi tool hai jisse aap apni profile ka backup bohot hi aasani se le sakte hai.
Facebook par Backup banane ke steps
Step 1: Sabse pehle apne Facebook account me login karo, aur upar right corner se “down arrow” ka button click karke Setting par click karo.
Step 2: Ab sabse neeche likhe Download a copy link par click kare.
Step 3: Start My Archive par click kare, aur apna password daal kar okay karde.
Step 4: 2-3 minute ke wait ke baad page ko refresh kare. Aapke saame Download Archive button aa jayega, yaha se app apna backup download kar sakte hai.
Step 5: Download kiya hua Facebook ka backup .Zip format me hota hai, ise extract karne ke liye file par right click kare aur extract par click karde.
Extract karte hi aapke pass ek folder bana jayega jaha se aap apni sabhi purani status updates aur photos ko dekh sakte hai.
Agar aapko Facebook sambandhit koi bhi problem hai to aap hamare Facebook Group par use pooch sakte hai.
Thank You 🙂
Ye bhi padhe :
surendra says
sir fb me poke ka option aata h wo kya h?
Sunny Singh says
Poke ka normal word me matlab hota hai ki, aap kisi ko apni yaad dilate hai wahi hai. isko ugli karna bhi bol sakta hai. Jise koi aapki attention paane ke liye aapko chuta hai ye waise hi hai.
Prashant Yadav says
Sir mera Facebook account block ho gya use unblocke kese kere
navneet walia says
yr mere ID mai bhot important message delete ho gye mane mujhe bo chiye kise vaps aye gye plzzz hlp me
Sunny Singh says
Facebook se toh aap apne massage recover nhi kar sakte.