Online Verification, Login ya Online Banking karte hue kayi websites aapse OTP mangti hai.
OTP ka matlab hai One-time Password. Ek aisa password jo sirf ek baar hi (login, transaction, verification) ke liye use ho sakta hai.
OTP ka fayada ye hai ki isse aapka account secure rehta hai. Mai aapko SBI ka udharan deta hun. Jab bhi aap SBI ki Net banking ke dwara transaction karne ki koshish karte hai, SBI aapke mobile ek OTP bhejta hai, jisske bina transaction karna mushkil hai. Agar aapka password kisi ko pata bhi chal gaya to bhi wo aapke account se transaction nahi kar sakta kyoki uske pass aapka phone nahi hai.
OTP ko bhejne ka sabse aam jariya SMS hai. Google ne apne account ko jaada secure banane ke liye apne accounts par OTP security bhi shamil ki hai, jisko activate karne ke baad koi bhi aapke account me aapke password se OTP Password daale bina login nahi kar sakta. Google do Calling aur SMS dono ke jariye OTP bhejta hai.
India me kayi saari sarkari sevaye, jaise ki Aadhaar card, digital locker OTP ka upyog karti hai. Iska sabse jada upyog Online Netbanking me hota hai.
Aisi hi aur jaankari ke liye hamara Facebook Group join kare. Aur kuck bhi OTP sambandhit jaankari ke liye neeche comment kare.
Ye nhi padhe:
- Internet se paisa kamane ke kuch asaan tarike !
- Facebook ke Baare me Jaankari !
- Twitter par ID kaise banti hai ?
- Blog se paisa kaise kamaya jata hai ?
armaan kaif says
Mobile banking kya hota hai
Vikas Plus says
Mobile Banking ke though aap sabhi parkar ke transition( money transfer, mobile recharge, bill payment, fees deposit etc) kahi se bhi aur kabhi bhi kar sakte hai. isse aapka bank aapke sath sath hi rahega.
Lovekush Sharma says
OTP KA KYA MATLAB HOTA H KAISE ISTEMAL KIYA JATA H
Sunny Singh says
Shayed aapne humare is article ko nhi pada hai karipya humare is article ko dhyaan se padhe :
suhana says
Hii
I have a question
Tapi sidar says
free recharge ya Paytm jaise apps se recharge karne par otp password mangta hai par mujhe otp password banana nahi aata plz ise banane ka tarika batayen me sbi ka internet banking use karta hu to recharge online shoping me problem aata hai….
Nikhil Arora says
OTP website hi generate hi karti hai. aur agar aap internet banking use kar rahe hai toh sbi kuch bhi transition ke liye aapne cell phone par OTP send karta hai for security reason.
Waise aap SBI ki mobile App se bhi OTP generate kar sakte ho.
Yoseb Gavit says
sbi mobile app se otp no kaise genret kare ….
please help me
Sunny Singh says
Uske liye aapko apne sbi account me apna phone no attach karna hoga.
karan rajput says
Bhai otp password se hum internet use kr skte h kese plz help
Nikhil Arora says
haan agar aap kisi public wifi mai hai to connection create karne ke liye aapko otp verification ki jaroorat padhti hai.
Muhammad Ameen says
Recycle bin se deleted file wapas recycle bin me kese aa sakti hai
Please meri e mail id par send kare. Meri email Id
92ameenazhari@gmail.com
Sunny Singh says
recycle bin se ek baar jo file delete ho jaati hai wo wapas nhi aati.
Yoseb gavit says
hi freinds mere ek saval hai?
Mere resister monile no. par otp nahi aaraha he to me ab kya karu please help me…
Sunny Singh says
Aapko kis type ka OTP chahiye For ex. bank, shopping etc kyuki yadi bank me apne apna mobile no. register karaye hua hoga toh aapke mobile phone par otp zaroor aana chahiye.
yogesh attarde says
hello sir plz meet me on whstapp now plz i have some important to you i have got the otp but i will doing the onile recharge then the otp is inviled why sir plz help me
Sunny Singh says
sometimes otp enable only 15-30 min.
So plz try with in this time.
ragini says
Teacher ke liya
deepak chaudhary says
hey sir i m deepak i m from delhi sir maine apna google acount pr opt lgya tha or ab wo mera phn (sim) kho gya hai toh main aise kya kru jis se mera acount opne ho jaye pls help me my num – 8791316646 pls help me
Sunny Singh says
Gmail ka Password Kaise Change Kare
nantu sardar says
I ,am happy to thanks airtel
Rabindra chouhan says
Mujhe aapka member bnna hai ,plz help me
Sunny Singh says
Vikas plus Facebook Group
Aap is link par click karke humare group me member ban sakte hai.
Rohit kumar says
Mere phone pe otp nahi aata kyo jab me self recharge karta hu . Plz help me.
vinay raj says
Sir jo mere no mere ac main laga tha bo band ho gya to otp kis trh aayga
Sunny Singh says
Iske liye toh aapko bank me jakar apne account se apne ph.no change karana hoga.
shobhnath says
Sk Rajput
aliya says
Hiii
I have a question
shavez says
bank of baroda ka atm h mera sir mai mobile rchg karne ki koshish kr rha hu but Otp ka message ni aa rha mene jo bank me mobile no register kraya tha wo no kho gya h to koi aisa tareeka h jisse Otp ka message aa jaye
Sunny Singh says
Aisa koi tarika nhi hai, iske liye aapko sabse phele bank jakar apna mobile no (new) update karana hoga.